waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain
vaqt ke tūfānī sāgar meñ krodh kapaT ke rele haiñ
lekin aas ke māñjhī har lahza maujoñ se khele haiñ
pag pag kāñTe manziloñ sahrā kosoñ jañgal bele haiñ
safar-e-zīst kaThin hai yaaro raah meñ laakh jhamele haiñ
alakh jamā.e dhūnī ramā.e dhyān lagā.e rahte haiñ
pyaar hamārā maslak hai ham prem-gurū ke chele haiñ
rāhzanoñ se ghabrā kar sab sāthī sañgat chhoḌ ga.e
aur pur-ḳhauf Dagar par garm-e-safar ham aaj akele haiñ
husn kī daulat us kī hai aur vasl kī ishrat bhī us kī
jis ne pal pal hijr meñ kaaTā jaur sahe dukh jhele haiñ
bāzī-gāh-e-dār-o-rasan meñ mai-kada-e-fikr-o-fan meñ
ham rindoñ se raunaq hai ham durveshoñ se mele haiñ
jīvan kī komal ablā kā svayamvar rachne vaalā hai
aao salā-e-ām hai sab ko jitne bhī albele haiñ
waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain
lekin aas ke manjhi har lahza maujon se khele hain
pag pag kanTe manzilon sahra koson jangal bele hain
safar-e-zist kaThin hai yaro rah mein lakh jhamele hain
alakh jamae dhuni ramae dhyan lagae rahte hain
pyar hamara maslak hai hum prem-guru ke chele hain
rahzanon se ghabra kar sab sathi sangat chhoD gae
aur pur-KHauf Dagar par garm-e-safar hum aaj akele hain
husn ki daulat us ki hai aur wasl ki ishrat bhi us ki
jis ne pal pal hijr mein kaTa jaur sahe dukh jhele hain
bazi-gah-e-dar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein
hum rindon se raunaq hai hum durweshon se mele hain
jiwan ki komal abla ka swayamwar rachne wala hai
aao sala-e-am hai sab ko jitne bhi albele hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.