waswase dil mein na rakh KHauf-e-rasan le ke na chal
vasvase dil meñ na rakh ḳhauf-e-rasan le ke na chal
azm-e-manzil hai to ham-rāh thakan le ke na chal
rāh-e-manzil meñ bahr-e-hāl tabassum farmā
har qadam dukh sahī māthe pe shikan le ke na chal
nuur hī nuur se vābasta agar rahnā hai
sar pe sūraj ko uThā sirf kiran le ke na chal
pahle faulād banā jism ko apne ai dost
bārish-e-sañg meñ shīsha sā badan le ke na chal
aas insāf kī munsif se nahīñ hai to na rakh
nā-umīdī kī magar dil meñ chubhan le ke na chal
waswase dil mein na rakh KHauf-e-rasan le ke na chal
azm-e-manzil hai to ham-rah thakan le ke na chal
rah-e-manzil mein bahr-e-haal tabassum farma
har qadam dukh sahi mathe pe shikan le ke na chal
nur hi nur se wabasta agar rahna hai
sar pe suraj ko uTha sirf kiran le ke na chal
pahle faulad bana jism ko apne ai dost
barish-e-sang mein shisha sa badan le ke na chal
aas insaf ki munsif se nahin hai to na rakh
na-umidi ki magar dil mein chubhan le ke na chal
- Book : Roshani Takhayyul ki (Pg. 50)
- Author : Abrar Kiratpuri
- Publication : Markaz-e-ilm-o-Danish Qudsiya Manzil (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.