Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega

Urfi Aafaqi

wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega

Urfi Aafaqi

MORE BYUrfi Aafaqi

    vo dhyān rāhoñ meñ jahāñ ham ko milegā

    bas ek chhalāve koī dam ko milegā

    anjānī zamīnoñ se mujhe degā sadā vo

    nairañg-e-navā-shauq sargam ko milegā

    maiñ ajnabī ho jā.ūñgā ḳhud apnī nazar meñ

    jis dam vo mire dīda-e-pur-nam ko milegā

    jo naqsh ki arzhañg-e-zamāna meñ nahīñ hai

    us dil ke dhaḌakte hue albam ko milegā

    rut vasl aa.egī chalī jā.egī lekin

    kuchh rañg to yuuñ hijr ke mausam ko milegā

    ye dil ki hai Thukrāyā huā saare jahāñ

    ghar ek yahī hai jo tire ġham ko milegā

    patthar hai to Thokar meñ rahe pā-e-talab

    dil hai to usī turra-e-pur-ḳham ko milegā

    gar shīsha-e-mai hai to ho auroñ ko mubārak

    hai jām-e-jahāñ-bīñ to faqat jam ko milegā

    lahrāte raheñge chamanistāñ meñ sharāre

    ḳhaar o ḳhas o ḳhāshāk aalam ko milegā

    mālūm hai 'urfī' jo hai qismat meñ hamārī

    sahrā koī girya-e-shabnam ko milegā

    wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega

    bas ek chhalawe sa koi dam ko milega

    anjaani zaminon se mujhe dega sada wo

    nairang-e-nawa-shauq ki sargam ko milega

    main ajnabi ho jaunga KHud apni nazar mein

    jis dam wo mere dida-e-pur-nam ko milega

    jo naqsh ki arzhang-e-zamana mein nahin hai

    us dil ke dhaDakte hue albam ko milega

    rut wasl ki aaegi chali jaegi lekin

    kuchh rang to yun hijr ke mausam ko milega

    ye dil ki hai Thukraya hua sare jahan ka

    ghar ek yahi hai jo tere gham ko milega

    patthar hai to Thokar mein rahe pa-e-talab ki

    dil hai to usi turra-e-pur-KHam ko milega

    gar shisha-e-mai hai to ho auron ko mubarak

    hai jam-e-jahan-bin to faqat jam ko milega

    lahraate rahenge chamanistan mein sharare

    KHar o KHas o KHashak hi aalam ko milega

    malum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamari

    sahra hi koi girya-e-shabnam ko milega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now