wo ek shaKHs jo mahfil mein bolta tha bahut
vo ek shaḳhs jo mahfil meñ boltā thā bahut
sunā hai ahl-e-nazar se vo khokhlā thā bahut
ridā-e-shab se lipaT ke savād-e-shām ke baa'd
kisī ke baare meñ pahroñ maiñ sochtā thā bahut
abhī jo paas se nazreñ churā ke guzrā hai
ga.ī rutoñ meñ vahī mujh ko chāhtā thā bahut
us ajnabī ne bil-āḳhir palaT ke dekh liyā
tilismī shahr meñ koī pukārtā thā bahut
jo baat baat pe hañstā thā muskurātā thā
kise ḳhabar ki vahī dil meñ ro rahā thā bahut
kuchh aise ahl-e-junūñ bhī yahāñ se guzre the
ġhubār-e-rāh-e-vafā jin ko DhūñDhtā thā bahut
jo pūchhte ho mujhe tum ko yaad ho shāyad
koī nazar se tumhārī kabhī girā thā bahut
wo ek shaKHs jo mahfil mein bolta tha bahut
suna hai ahl-e-nazar se wo khokhla tha bahut
rida-e-shab se lipaT ke sawad-e-sham ke ba'd
kisi ke bare mein pahron main sochta tha bahut
abhi jo pas se nazren chura ke guzra hai
gai ruton mein wahi mujh ko chahta tha bahut
us ajnabi ne bil-aKHir palaT ke dekh liya
tilismi shahr mein koi pukarta tha bahut
jo baat baat pe hansta tha muskuraata tha
kise KHabar ki wahi dil mein ro raha tha bahut
kuchh aise ahl-e-junun bhi yahan se guzre the
ghubar-e-rah-e-wafa jin ko DhunDhta tha bahut
jo puchhte ho mujhe tum ko yaad ho shayad
koi nazar se tumhaari kabhi gira tha bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.