wo harf harf mukammal kitab kar dega
vo harf harf mukammal kitāb kar degā
varaq varaq ko mohabbat kā baab kar degā
ujāle ke liye us ko sadā lagāo ab
ye kaam chuTkiyoñ meñ āftāb kar degā
vo jab bhī dekhegā mastī bharī nazar se mujhe
mire vajūd ko yaksar sharāb kar degā
mujhe yaqīn hai e.ajāz-e-lams se ik din
vo ḳhaar ko bhī shagufta gulāb kar degā
hazār chup sahī par us kā boltā chehra
ḳhamosh rah ke hameñ lā-javāb kar degā
vo jaisā chāhegā vaisā karegā ai 'hasrat'
kisī ko Thiik kisī ko ḳharāb kar degā
wo harf harf mukammal kitab kar dega
waraq waraq ko mohabbat ka bab kar dega
ujale ke liye us ko sada lagao ab
ye kaam chuTkiyon mein aaftab kar dega
wo jab bhi dekhega masti bhari nazar se mujhe
mere wajud ko yaksar sharab kar dega
mujhe yaqin hai eajaz-e-lams se ek din
wo KHar ko bhi shagufta gulab kar dega
hazar chup sahi par us ka bolta chehra
KHamosh rah ke hamein la-jawab kar dega
wo jaisa chahega waisa karega ai 'hasrat'
kisi ko Thik kisi ko KHarab kar dega
- Book : Tanveer-e-Fan (Pg. 38)
- Author : Compiled by Dr. Keval Dheer, Mitr Nikodari,Author Ajeet Singh 'Hasrat'
- Publication : Dr. Bhajan Singh, 189 Model Gram, Ludhiana-02 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.