wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka
vo jalva tuur par jo dikhāyā na jā sakā
āḳhir yahī huā ki chhupāyā na jā sakā
aate hī un ke dasht o jabal muskurā uThe
aise meñ apnā haal sunāyā na jā sakā
gardūñ bhī iztirāb-e-azīzāñ se hil gayā
so.e kuchh aise ham ki jagāyā na jā sakā
dāman ke daaġh ashk-e-nadāmat ne dho diye
lekin ye dil kā daaġh miTāyā na jā sakā
kitnī ghaTā.eñ aa.iiñ baras kar guzar ga.iiñ
shola hamāre dil kā bujhāyā na jā sakā
bāteñ hazār yuuñ to harīfoñ kī chhup ga.iiñ
'vāsif' kā raaz thā jo chhupāyā na jā sakā
wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka
aaKHir yahi hua ki chhupaya na ja saka
aate hi un ke dasht o jabal muskura uThe
aise mein apna haal sunaya na ja saka
gardun bhi iztirab-e-azizan se hil gaya
soe kuchh aise hum ki jagaya na ja saka
daman ke dagh ashk-e-nadamat ne dho diye
lekin ye dil ka dagh miTaya na ja saka
kitni ghaTaen aain baras kar guzar gain
shola hamare dil ka bujhaya na ja saka
baaten hazar yun to harifon ki chhup gain
'wasif' ka raaz tha jo chhupaya na ja saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.