Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jis ka sath nibhane ka hausla na hua

Khalida Uzma

wo jis ka sath nibhane ka hausla na hua

Khalida Uzma

MORE BYKhalida Uzma

    vo jis saath nibhāne hausla na huā

    bichhaḌ gayā to bhulāne hausla na huā

    idhar udhar ke sunā.e hazār afsāne

    diloñ baat sunāne hausla na huā

    ye aur baat ki bā-hausla huuñ maiñ phir bhī

    na.e charāg jalāne hausla na huā

    ḳhalīj kitne zamānoñ kar gayā paidā

    vo ik qadam ki uThāne hausla na huā

    kitāb-e-zehn koī varaq bhī saada nahīñ

    likhe hurūf miTāne hausla na huā

    guzar ga.ī thī shab-e-hijr hijr meñ 'uzma'

    charāg phir bhī bujhāne hausla na huā

    wo jis ka sath nibhane ka hausla na hua

    bichhaD gaya to bhulane ka hausla na hua

    idhar udhar ke sunae hazar afsane

    dilon ki baat sunane ka hausla na hua

    ye aur baat ki ba-hausla hun main phir bhi

    nae charag jalane ka hausla na hua

    KHalij kitne zamanon ki kar gaya paida

    wo ek qadam ki uThane ka hausla na hua

    kitab-e-zehn ka koi waraq bhi sada nahin

    likhe huruf miTane ka hausla na hua

    guzar gai thi shab-e-hijr hijr mein 'uzma'

    charag phir bhi bujhane ka hausla na hua

    Source :
    • Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 149)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now