wo jis ne mere dil o jaan mein dard boya hai
vo jis ne mere dil o jaañ meñ dard boyā hai
kabhī kabhī mirī hālat pe ḳhud bhī royā hai
baḌhe hue the mirī samt kitne pyaar ke haath
kahāñ ye lā ke tirī yaad ne Duboyā hai
jo phūTī palkoñ se koñpal to jā ke raaz khulā
ki us ne ġham nahīñ siine meñ zahr boyā hai
tumhīñ batāo ki kis kis se maiñ kalām karūñ
ho tum bhī goyā tumhārī nazar bhī goyā hai
fazā hai tiira o tārīk aur us kā ḳhayāl
na jaane kaun sī duniyā meñ jā ke soyā hai
chale phir uTh ke usī ḳhvāb-zār meñ 'arshad'
abhī to us kī nazar kā ḳhumār dhoyā hai
wo jis ne mere dil o jaan mein dard boya hai
kabhi kabhi meri haalat pe KHud bhi roya hai
baDhe hue the meri samt kitne pyar ke hath
kahan ye la ke teri yaad ne Duboya hai
jo phuTi palkon se konpal to ja ke raaz khula
ki us ne gham nahin sine mein zahr boya hai
tumhin batao ki kis kis se main kalam karun
ho tum bhi goya tumhaari nazar bhi goya hai
faza hai tera o tarik aur us ka KHayal
na jaane kaun si duniya mein ja ke soya hai
chale phir uTh ke usi KHwab-zar mein 'arshad'
abhi to us ki nazar ka KHumar dhoya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.