wo KHush kisi ke sath hain na-KHush kisi ke sath
vo ḳhush kisī ke saath haiñ nā-ḳhush kisī ke saath
har aadmī kī baat hai har aadmī ke saath
lākhoñ jafā.eñ saikaḌoñ sadme hazār ġham
ik āsamān TuuT paḌā zindagī ke saath
mumkin nahīñ ki dil se nikal jaa.e aarzū
ye mere dam ke saath hai ye mere jī ke saath
ab kyā karūñ maiñ shikva-e-bedād hashr meñ
muñh merā tak rahe haiñ vo kis bekasī ke saath
wo KHush kisi ke sath hain na-KHush kisi ke sath
har aadmi ki baat hai har aadmi ke sath
lakhon jafaen saikaDon sadme hazar gham
ek aasaman TuT paDa zindagi ke sath
mumkin nahin ki dil se nikal jae aarzu
ye mere dam ke sath hai ye mere ji ke sath
ab kya karun main shikwa-e-bedad hashr mein
munh mera tak rahe hain wo kis bekasi ke sath
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.