Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mahakta hai jo KHushbu ke hawalon ki tarah

Afroz Rizvi

wo mahakta hai jo KHushbu ke hawalon ki tarah

Afroz Rizvi

MORE BYAfroz Rizvi

    vo mahaktā hai jo ḳhushbū ke havāloñ tarah

    is ko rakkhā hai kitāboñ meñ gulāboñ tarah

    vo jo ḳhvāboñ ke jazīre meñ nazar aatā hai

    mere idrāk meñ rahtā hai kināroñ tarah

    ban ke ehsās jo dhaḌkan se lipaT jaatā hai

    saath rahtā hai mohabbat meñ ḳhayāloñ tarah

    dekhnā ḳhvāb sūrat meñ nazar aa.egā

    vo jo palkoñ pe chamaktā hai sitāroñ tarah

    maiñ ne ḳhushbū ke libāde meñ jise chūmā thā

    merī har saañs meñ shāmil hai vo phūloñ tarah

    vo mire sher ik misra-e-tar ho jaise

    gungunātī huuñ use aaj maiñ gītoñ tarah

    itnī achchhī thī mulāqāt ki pahle din

    dil meñ 'afroz' basāyā use sochoñ tarah

    wo mahakta hai jo KHushbu ke hawalon ki tarah

    is ko rakkha hai kitabon mein gulabon ki tarah

    wo jo KHwabon ke jazire mein nazar aata hai

    mere idrak mein rahta hai kinaron ki tarah

    ban ke ehsas jo dhaDkan se lipaT jata hai

    sath rahta hai mohabbat mein KHayalon ki tarah

    dekhna KHwab ki surat mein nazar aaega

    wo jo palkon pe chamakta hai sitaron ki tarah

    main ne KHushbu ke libaade mein jise chuma tha

    meri har sans mein shamil hai wo phulon ki tarah

    wo mere sher ka ek misra-e-tar ho jaise

    gungunati hun use aaj main giton ki tarah

    itni achchhi thi mulaqat ki pahle din hi

    dil mein 'afroz' basaya use sochon ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now