wo meri jurat-e-kamyab se na-waqif hain
vo mirī jur.at-e-kamyāb se nā-vāqif haiñ
haañ vahī log jo girdāb se nā-vāqif haiñ
aisī rāteñ ki jinheñ niiñd kī lazzat na milī
aisī āñkheñ jo abhī ḳhvāb se nā-vāqif haiñ
merī kam-goī pe jo tanz kiyā karte haiñ
merī kam-goī ke asbāb se nā-vāqif haiñ
un se kyā kiije tavaqqo' vo haiñ nau-vārid-e-dasht
dasht-e-vahshat ke jo ādāb se nā-vāqif haiñ
vo jo be-gāna-e-tahzīb-o-tamaddun haiñ vo log
mahfiloñ ke adab-ādāb se nā-vāqif haiñ
wo meri jurat-e-kamyab se na-waqif hain
han wahi log jo girdab se na-waqif hain
aisi raaten ki jinhen nind ki lazzat na mili
aisi aankhen jo abhi KHwab se na-waqif hain
meri kam-goi pe jo tanz kiya karte hain
meri kam-goi ke asbab se na-waqif hain
un se kya kije tawaqqo' wo hain nau-warid-e-dasht
dasht-e-wahshat ke jo aadab se na-waqif hain
wo jo be-gana-e-tahzib-o-tamaddun hain wo log
mahfilon ke adab-adab se na-waqif hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.