wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai
vo nik.hat-e-gesū phir ai ham-nafasāñ aa.ī
ab dam meñ dam aayā hai ab jaan meñ jaañ aa.ī
har tanz pe rindoñ ne sar apnā jhukāyā hai
us par bhī na vā'iz ko tahzīb-e-muġhāñ aa.ī
jab bhī ye ḳhayāl aayā kyā dair hai kyā kā'ba
nāqūs-e-brahman se āvāz-e-azāñ aa.ī
us shoḳh kī bātoñ ko dushvār hai dohrānā
jab bād-e-sabā aa.ī āshufta-bayāñ aa.ī
urdu jise kahte haiñ tahzīb kā chashma hai
vo shaḳhs mohazzab hai jis ko ye zabāñ aa.ī
ye ḳhanda-e-gul kyā hai ham ne to ye dekhā hai
kaliyoñ ke tabassum meñ chhup chhup ke fuġhāñ aa.ī
ābād ḳhayāl us kā shādāñ rahe yaad us kī
ik dushman-e-dil aayā ik āfat-e-jāñ aa.ī
ash.ār-e-'ravish' sun kar tausīf o satā.ish ko
'sādī' kā bayāñ aayā 'hāfiz' kī zabāñ aa.ī
wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai
ab dam mein dam aaya hai ab jaan mein jaan aai
har tanz pe rindon ne sar apna jhukaya hai
us par bhi na wa'iz ko tahzib-e-mughan aai
jab bhi ye KHayal aaya kya dair hai kya ka'ba
naqus-e-brahman se aawaz-e-azan aai
us shoKH ki baaton ko dushwar hai dohrana
jab baad-e-saba aai aashufta-bayan aai
urdu jise kahte hain tahzib ka chashma hai
wo shaKHs mohazzab hai jis ko ye zaban aai
ye KHanda-e-gul kya hai hum ne to ye dekha hai
kaliyon ke tabassum mein chhup chhup ke fughan aai
aabaad KHayal us ka shadan rahe yaad us ki
ek dushman-e-dil aaya ek aafat-e-jaan aai
ashaar-e-'rawish' sun kar tausif o sataish ko
'sadi' ka bayan aaya 'hafiz' ki zaban aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.