wo raushni jo shafaq ka libas chhoD gai
vo raushnī jo shafaq kā libās chhoḌ ga.ī
mire liye to vo lamhe udaas chhoḌ ga.ī
bahār dard bharā iqtibās chhoḌ ga.ī
har ik shajar kā badan be-libās chhoḌ ga.ī
ajiib lahar meñ ham ne havā kā saath diyā
ajiib moḌ pe ab ġham-shanās chhoḌ ga.ī
nasīm-e-sub.h guloñ ko gudāz detī rahī
magar diloñ kī fazā ko udaas chhoḌ ga.ī
phir is se uglā safar raushnī kā thā 'tauqīr'
mujhe jahāñ vo sitāra-shanās chhoḌ ga.ī
wo raushni jo shafaq ka libas chhoD gai
mere liye to wo lamhe udas chhoD gai
bahaar dard bhara iqtibas chhoD gai
har ek shajar ka badan be-libas chhoD gai
ajib lahar mein hum ne hawa ka sath diya
ajib moD pe ab gham-shanas chhoD gai
nasim-e-subh gulon ko gudaz deti rahi
magar dilon ki faza ko udas chhoD gai
phir is se ugla safar raushni ka tha 'tauqir'
mujhe jahan wo sitara-shanas chhoD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.