wo ruThta hai kabhi dil dukha bhi deta hai
vo rūThtā hai kabhī dil dukhā bhī detā hai
maiñ gir paḌūñ to mujhe hausla bhī detā hai
vo merī raah meñ patthar kī tarah rahtā hai
vo merī raah se patthar haTā bhī detā hai
bahut ḳhulūs jhalaktā hai tanz meñ us ke
vo mujh pe tanz ke nashtar chalā bhī detā hai
maiñ ḳhud ko bhuul na jā.ūñ bhaTak na jā.ūñ kahīñ
vo mujh ko aa.ina lā kar dikhā bhī detā hai
use aziiz haiñ ġhazleñ mirī mire ash.ār
vo mere sher mujhī ko sunā bhī detā hai
wo ruThta hai kabhi dil dukha bhi deta hai
main gir paDun to mujhe hausla bhi deta hai
wo meri rah mein patthar ki tarah rahta hai
wo meri rah se patthar haTa bhi deta hai
bahut KHulus jhalakta hai tanz mein us ke
wo mujh pe tanz ke nashtar chala bhi deta hai
main KHud ko bhul na jaun bhaTak na jaun kahin
wo mujh ko aaina la kar dikha bhi deta hai
use aziz hain ghazlen meri mere ashaar
wo mere sher mujhi ko suna bhi deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.