wo saneha hua tha ki bas dil dahal gae!
vo sāneha huā thā ki bas dil dahal ga.e!
ik shab meñ saare shahr ke chehre badal ga.e
nairañgi-e-nazar pas-e-ā.īna ḳhuub thī
bāhar nikal ke dekhā to manzar badal ga.e
miTTī meñ māhtāb kī ḳhushbū kā bhed thā
kis justujū meñ ham lab-e-bām-e-azal ga.e
bārāñ kī iltijāoñ meñ vaqf-e-duā the jo
peḌoñ ke haath dhuup kī zad meñ pighal ga.e
ghulne lagī haiñ jaise rag-e-jāñ meñ ThanDakeñ
kyā dekhte hī dekhte mausam badal ga.e
wo saneha hua tha ki bas dil dahal gae!
ek shab mein sare shahr ke chehre badal gae
nairangi-e-nazar pas-e-aina KHub thi
bahar nikal ke dekha to manzar badal gae
miTTi mein mahtab ki KHushbu ka bhed tha
kis justuju mein hum lab-e-baam-e-azal gae
baran ki iltijaon mein waqf-e-dua the jo
peDon ke hath dhup ki zad mein pighal gae
ghulne lagi hain jaise rag-e-jaan mein ThanDaken
kya dekhte hi dekhte mausam badal gae
- Book : Monthly Usloob (Pg. 541)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.