Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shaKHs jo rakhta hai jamal aur tarah ka

Khalid Moin

wo shaKHs jo rakhta hai jamal aur tarah ka

Khalid Moin

MORE BYKhalid Moin

    vo shaḳhs jo rakhtā hai jamāl aur tarah

    hai us se bichhaḌne malāl aur tarah

    āsār ḳharābī ke haiñ, āġhāz se zāhir

    lagtā hai ki guzregā, ye saal aur tarah

    is shahr-e-ziyāñ-kār ke imkān se bāhar

    maiñ ab ke dikhā.ūñgā, kamāl aur tarah

    hotā hai hamesha na.e rañj meñ Duubā

    is jāda-e-vahshat pe dhamāl aur tarah

    is shahr-e-fusūñ-gar ke azaab aur, savāb aur

    hijr aur tarah hai, visāl aur tarah

    ab ghar se nikalnā paḌegā ki muḳhālif

    is baar! uThāte haiñ, savāl aur tarah

    wo shaKHs jo rakhta hai jamal aur tarah ka

    hai us se bichhaDne ka malal aur tarah ka

    aasar KHarabi ke hain, aaghaz se zahir

    lagta hai ki guzrega, ye sal aur tarah ka

    is shahr-e-ziyan-kar ke imkan se bahar

    main ab ke dikhaunga, kamal aur tarah ka

    hota hai hamesha hi nae ranj mein Duba

    is jada-e-wahshat pe dhamal aur tarah ka

    is shahr-e-fusun-gar ke azab aur, sawab aur

    hijr aur tarah ka hai, visal aur tarah ka

    ab ghar se nikalna hi paDega ki muKHalif

    is bar! uThate hain, sawal aur tarah ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now