wo yaqin jo qayas lagta hai
vo yaqīñ jo qayās lagtā hai
vahm hī kī asaas lagtā hai
vaz.a-dārī ko oḌh kar aksar
aadmī be-libās lagtā hai
aa.ine meñ ḳhud apnā chehra bhī
in dinoñ nā-shanās lagtā hai
rut ḳhizāñ kī nahīñ kahīñ lekin
baaġh saarā udaas lagtā hai
gul khilā.e kahīñ na vo paudā
dekhne meñ jo ghaas lagtā hai
paas jis ke hai dil kabūtar kā
zāhiran be-hirās lagtā hai
yaad jis kī liye hai dil 'nādim'
duur ho kar bhī paas lagtā hai
wo yaqin jo qayas lagta hai
wahm hi ki asas lagta hai
waza-dari ko oDh kar aksar
aadmi be-libas lagta hai
aaine mein KHud apna chehra bhi
in dinon na-shanas lagta hai
rut KHizan ki nahin kahin lekin
bagh sara udas lagta hai
gul khilae kahin na wo pauda
dekhne mein jo ghas lagta hai
pas jis ke hai dil kabutar ka
zahiran be-hiras lagta hai
yaad jis ki liye hai dil 'nadim'
dur ho kar bhi pas lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.