yaad kya kya log dasht-e-be-karan mein aae the
yaad kyā kyā log dasht-e-be-karāñ meñ aa.e the
rañg lekin kab ye chashm-e-ḳhūñ-fishāñ meñ aa.e the
kis tamannā se tumheñ dekhā thā kis chāhat se ham
raqs karte halqa-e-vāraftagāñ meñ aa.e the
sūrateñ kyā kyā dil-e-ā.īna-gar meñ bas ga.iiñ
ham se be-sūrat bhī to bazm-e-jahāñ meñ aa.e the
sādgī se ham ne samjhā thā hamārā zikr hai
tazkire kuchh aur hī un ke bayāñ meñ aa.e the
har na.ī mushkil pe ham sochā kiye haiñ der tak
log pahle bhī to kuchh shahr-e-butāñ meñ aa.e the
ye gul-e-tar kī sī ḳhushbū kis taraf se aa ga.ī
ham bagūle the bhalā kab gulsitāñ meñ aa.e the
kyuuñ hamāre saañs bhī hote haiñ logoñ par girāñ
ham bhī to ik 'umr le kar is jahāñ meñ aa.e the
yaad kya kya log dasht-e-be-karan mein aae the
rang lekin kab ye chashm-e-KHun-fishan mein aae the
kis tamanna se tumhein dekha tha kis chahat se hum
raqs karte halqa-e-waraftagan mein aae the
suraten kya kya dil-e-aina-gar mein bas gain
hum se be-surat bhi to bazm-e-jahan mein aae the
sadgi se hum ne samjha tha hamara zikr hai
tazkire kuchh aur hi un ke bayan mein aae the
har nai mushkil pe hum socha kiye hain der tak
log pahle bhi to kuchh shahr-e-butan mein aae the
ye gul-e-tar ki si KHushbu kis taraf se aa gai
hum bagule the bhala kab gulsitan mein aae the
kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran
hum bhi to ek 'umr le kar is jahan mein aae the
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 114)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.