yaad mein teri kho kar hum kya ho jate hain
yaad meñ terī kho kar ham kyā ho jaate haiñ
mahfil meñ bhī aksar tanhā ho jaate haiñ
ham to apne qad ke barābar bhī na hue
log na jaane kaise ḳhudā ho jaate haiñ
raas na aa.e apnā milnā-julnā agar
chaliye to ham phir se judā ho jaate haiñ
suntā nahīñ gar apnī koī duniyā meñ
ik nādār kī ham bhī sadā ho jaate haiñ
ġhāroñ meñ chhup-chhup kar rahne vaale log
ḳhud ko miTā kar kaise fanā ho jaate haiñ
maañ kī duāoñ ke badle hī ai 'rizvān'
duniyā meñ ham kyā se kyā ho jaate haiñ
yaad mein teri kho kar hum kya ho jate hain
mahfil mein bhi aksar tanha ho jate hain
hum to apne qad ke barabar bhi na hue
log na jaane kaise KHuda ho jate hain
ras na aae apna milna-julna agar
chaliye to hum phir se juda ho jate hain
sunta nahin gar apni koi duniya mein
ek nadar ki hum bhi sada ho jate hain
ghaaron mein chhup-chhup kar rahne wale log
KHud ko miTa kar kaise fana ho jate hain
man ki duaon ke badle hi ai 'rizwan'
duniya mein hum kya se kya ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.