yaadon ki jagir na hoti to main yaro kya karta
yādoñ kī jāgīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
gar us kī tasvīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
us ke dam se rāñjhā thā maiñ vo hī mirī pahchān banī
vo gar merī hiir na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
qaa.il karnā kaam thā mushkil par vo qaa.il ho hī gayā
lahje meñ tāsīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
merā kaam tamām thā varna us ke nek irāde se
hāthoñ meñ shamshīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
andar se maiñ TūTā-phūTā ek khañDar vīrāna thā
zāhir jo ta.amīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
zulmat-e-shab meñ raushan 'afzal' ik nanhā sā jugnū thā
itnī bhī tanvīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
yaadon ki jagir na hoti to main yaro kya karta
gar us ki taswir na hoti to main yaro kya karta
us ke dam se ranjha tha main wo hi meri pahchan bani
wo gar meri hir na hoti to main yaro kya karta
qail karna kaam tha mushkil par wo qail ho hi gaya
lahje mein tasir na hoti to main yaro kya karta
mera kaam tamam tha warna us ke nek irade se
hathon mein shamshir na hoti to main yaro kya karta
andar se main TuTa-phuTa ek khanDar virana tha
zahir jo tamir na hoti to main yaro kya karta
zulmat-e-shab mein raushan 'afzal' ek nanha sa jugnu tha
itni bhi tanwir na hoti to main yaro kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.