Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yan muddai apna kise ai yar na dekha

Shaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi

yan muddai apna kise ai yar na dekha

Shaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi

MORE BYShaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi

    yaañ mudda.ī apnā kise ai yaar na dekhā

    hai koī jise terā talabgār na dekhā

    sotoñ ko jagāyā mire naale ne adam ke

    par tāl-e-ḳhvābīda ko bedār na dekhā

    kal bazm meñ sab par nigah-e-lutf-o-karam thī

    ik merī taraf ne sitamgār na dekhā

    juz chashm-e-butāñ mai-kada-e-dahr meñ 'joshish'

    ham ne to kisī mast ko hoshyār na dekhā

    yan muddai apna kise ai yar na dekha

    hai koi jise tera talabgar na dekha

    soton ko jagaya mere nale ne adam ke

    par tal-e-KHwabida ko bedar na dekha

    kal bazm mein sab par nigah-e-lutf-o-karam thi

    ek meri taraf tu ne sitamgar na dekha

    juz chashm-e-butan mai-kada-e-dahr mein 'joshish'

    hum ne to kisi mast ko hoshyar na dekha

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B396 E406)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now