yakum january hai naya sal hai
yakum january hai nayā saal hai
december meñ pūchhūñgā kyā haal hai
bachā.e ḳhudā shar kī zad se use
bichāra bahut nek-āmāl hai
batāne lagā raat būḌhā faqīr
ye duniyā hamesha se kañgāl hai
hai dariyā meñ kachchā ghaḌā sohnī
kināre pe gum-sum mahīvāl hai
maiñ rahtā huuñ har shaam shikva-ba-lab
mire paas dīvān-e-'iqbāl' hai
yakum january hai naya sal hai
december mein puchhunga kya haal hai
bachae KHuda shar ki zad se use
bichaara bahut nek-amal hai
batane laga raat buDha faqir
ye duniya hamesha se kangal hai
hai dariya mein kachcha ghaDa sohni
kinare pe gum-sum mahiwal hai
main rahta hun har sham shikwa-ba-lab
mere pas diwan-e-'iqbaal' hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.