ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha
ye aañkh nam thī zabāñ par magar savāl na thā
ham apnī zaat meñ gum the koī ḳhayāl na thā
sajā liyā hai hathelī pe ham ne us kā naam
is liye to bichhaḌ jaane kā malāl na thā
agarche mo'tabar Thahre the ham zamāne meñ
hamāre paas to aisā koī kamāl na thā
usī ke saath the ham us se be-ḳhabar rah kar
agarche rābta us se koī bahāl na thā
tire hī naam pe ye zindagī kaTī saarī
agarche terā kabhī bhī hameñ visāl na thā
ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha
hum apni zat mein gum the koi KHayal na tha
saja liya hai hatheli pe hum ne us ka nam
is liye to bichhaD jaane ka malal na tha
agarche mo'tabar Thahre the hum zamane mein
hamare pas to aisa koi kamal na tha
usi ke sath the hum us se be-KHabar rah kar
agarche rabta us se koi bahaal na tha
tere hi nam pe ye zindagi kaTi sari
agarche tera kabhi bhi hamein visal na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.