Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe

Jameel Yusuf

ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe

Jameel Yusuf

MORE BYJameel Yusuf

    ye ajab rāsta hai jis pe lagāyā hai mujhe

    mahv-e-hairat huuñ ki kyā chiiz banāyā hai mujhe

    terī duurī bhī hai mushkil tirī qurbat bhī muhāl

    kis qadar ne mirī jaan satāyā hai mujhe

    kisī phuul kisī aañkh ke parde meñ rahā

    ne kab apnā hasīñ chehra dikhāyā hai mujhe

    mere firdaus nahreñ mirī ḳhātir haiñ to kyuuñ

    pyaas ke dasht meñ hairān phirāyā hai mujhe

    saarī maḳhlūq se taqvīm meñ ahsan huuñ maiñ

    aur phir aag īñdhan bhī banāyā hai mujhe

    apnī taḳhrīb pe nādim huuñ na ta.amīr pe ḳhush

    ne Dhāyā hai mujhe ne banāyā hai mujhe

    ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe

    mahw-e-hairat hun ki kya chiz banaya hai mujhe

    teri duri bhi hai mushkil teri qurbat bhi muhaal

    kis qadar tu ne meri jaan sataya hai mujhe

    tu kisi phul kisi aankh ke parde mein raha

    tu ne kab apna hasin chehra dikhaya hai mujhe

    mere firdaus ki nahren meri KHatir hain to kyun

    pyas ke dasht mein hairan phiraya hai mujhe

    sari maKHluq se taqwim mein ahsan hun main

    aur phir aag ka indhan bhi banaya hai mujhe

    apni taKHrib pe nadim hun na tamir pe KHush

    tu ne Dhaya hai mujhe tu ne banaya hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now