ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
varna dekhā hī nahīñ terī talab se aage
ye mohabbat hai ise dekh tamāshā na banā
mujh se milnā hai to mil hadd-e-adab se aage
ye ajab shahr hai kyā qahr hai ai dil mere
sochtā koī nahīñ ḳhvāb-e-tarab se aage
ab na.e dard pas-e-ashk-e-ravāñ jāgte haiñ
ham ki rote the kisī aur sabab se aage
'shāz' yuuñ hai ki koī pal bhī fusūñ-kār nahīñ
dhyān aate the mire dil meñ ajab se aage
ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
warna dekha hi nahin teri talab se aage
ye mohabbat hai ise dekh tamasha na bana
mujh se milna hai to mil hadd-e-adab se aage
ye ajab shahr hai kya qahr hai ai dil mere
sochta koi nahin KHwab-e-tarab se aage
ab nae dard pas-e-ashk-e-rawan jagte hain
hum ki rote the kisi aur sabab se aage
'shaz' yun hai ki koi pal bhi fusun-kar nahin
dhyan aate the mere dil mein ajab se aage
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 253)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.