ye ghazal ki anjuman hai zara ehtimam kar lo
ye ġhazal kī anjuman hai zarā ehtimām kar lo
kisī ġham ko mai banā lo kisī dil ko jaam kar lo
kahāñ sub.h-e-ġham kā sūraj kahāñ shaam kā sitāra
isī ruḳh pe zulf bikhre yahī sub.h-o-shām kar lo
vo habīb ho ki rahbar vo raqīb ho ki rahzan
jo dayār-e-dil se guzre use ham-kalām kar lo
ye kahāñ ke mohtasib haiñ ye kahāñ kī maslahat hai
jo unheñ nahīñ mayassar vahī shai harām kar lo
ye ghazal ki anjuman hai zara ehtimam kar lo
kisi gham ko mai bana lo kisi dil ko jam kar lo
kahan subh-e-gham ka suraj kahan sham ka sitara
isi ruKH pe zulf bikhre yahi subh-o-sham kar lo
wo habib ho ki rahbar wo raqib ho ki rahzan
jo dayar-e-dil se guzre use ham-kalam kar lo
ye kahan ke mohtasib hain ye kahan ki maslahat hai
jo unhen nahin mayassar wahi shai haram kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.