Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ghumta hua aaina apna Thahra ke

Ejaz Gul

ye ghumta hua aaina apna Thahra ke

Ejaz Gul

MORE BYEjaz Gul

    ye ghūmtā huā ā.īna apnā Thahrā ke

    zarā dikhā mirā rafta charḳh palTā ke

    hai kā.enāt muamma judā tarīqe

    faqat sulajhtā hai aapas meñ girheñ uljhā ke

    natīja ek niklā dimāġh aur dil

    ki donoñ haar ga.e imtihāñ meñ duniyā ke

    musāfiroñ se rahā hai vo rāstā ābād

    palaT ke aa.e nahīñ jis se pesh-rau ke

    ye hijr-zād samajhtā hai kam visāl baat

    batā jo ramz-o-kināya haiñ ḳhuub phailā ke

    ki band rahtā hai shahr-e-talab darvāza

    yaqīn aayā mujhe baar baar aa ke

    ḳhafīf ho ke maiñ chehre ko pher letā huuñ

    agar guzartā hai tujh āshnā katrā ke

    javāb merā ġhalat thā savāl us durust

    khulā ye mujh pe kisī nā-samajh ko samjhā ke

    ye ghumta hua aaina apna Thahra ke

    zara dikha mera rafta tu charKH palTa ke

    hai kaenat muamma juda tariqe ka

    faqat sulajhta hai aapas mein girhen uljha ke

    natija ek sa nikla dimagh aur dil ka

    ki donon haar gae imtihan mein duniya ke

    musafiron se raha hai wo rasta aabaad

    palaT ke aae nahin jis se pesh-rau ja ke

    ye hijr-zad samajhta hai kam visal ki baat

    bata jo ramz-o-kinaya hain KHub phaila ke

    ki band rahta hai shahr-e-talab ka darwaza

    yaqin aaya mujhe bar bar ja aa ke

    KHafif ho ke main chehre ko pher leta hun

    agar guzarta hai tujh aashna sa katra ke

    jawab mera ghalat tha sawal us ka durust

    khula ye mujh pe kisi na-samajh ko samjha ke

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now