ye jis ne jaan di hai nan dega
ye jis ne jaan dī hai naan degā
diyā hai jis ne sar sāmān degā
mizha se us kamāñ-abrū kī bachnā
vo nāvak hai kaleja chhān degā
mashaqqat se vo de yā be-mashaqqat
ba-har-sūrat ba-har-unvān degā
vo bosa de ke dil le kar ye bole
evaz ehsāñ kā kyā insān degā
milegā qadr-dān-e-ishq ham ko
ḳhudā mā'shūq bā.īmān degā
suneñge tab butān-e-hind apnī
ijāzat jab unheñ shaitān degā
fasāna kohkan kā sun ke bole
jo 'āshiq hogā vo hī jaan degā
na thī ummīd tujh se qāsim baḳht
dil-e-pur-dard o pur-armān degā
rah-e-ulfat kā huuñ kār-āzmūda
kisī ko dil koī anjān degā
chalegā tiir jab apnī du'ā kā
kaleje dushmanoñ ke chhān degā
muqaddar se ziyāda ek luqma
gadā kyā legā kyā sultān degā
lipaT jā.ūñgā un se roz-e-vaslat
agar mujh ko ḳhudā ausān degā
na phailā 'muntahī' dast-e-havas ko
vagarna ye tujhe nuqsān degā
ye jis ne jaan di hai nan dega
diya hai jis ne sar saman dega
mizha se us kaman-abru ki bachna
wo nawak hai kaleja chhan dega
mashaqqat se wo de ya be-mashaqqat
ba-har-surat ba-har-unwan dega
wo bosa de ke dil le kar ye bole
ewaz ehsan ka kya insan dega
milega qadr-dan-e-ishq hum ko
KHuda ma'shuq baiman dega
sunenge tab butan-e-hind apni
ijazat jab unhen shaitan dega
fasana kohkan ka sun ke bole
jo 'ashiq hoga wo hi jaan dega
na thi ummid tujh se qasim baKHt
dil-e-pur-dard o pur-arman dega
rah-e-ulfat ka hun kar-azmuda
kisi ko dil koi anjaan dega
chalega tir jab apni du'a ka
kaleje dushmanon ke chhan dega
muqaddar se ziyaada ek luqma
gada kya lega kya sultan dega
lipaT jaunga un se roz-e-waslat
agar mujh ko KHuda ausan dega
na phaila 'muntahi' dast-e-hawas ko
wagarna ye tujhe nuqsan dega
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.