ye jitne shikwe gile hain inhen miTa kar ja
ye jitne shikve gile haiñ inheñ miTā kar jā
tū jaanā chāhtā hai to gale lagā kar jā
maiñ bhuul jā.ūñ tujhe yā maiñ intizār karūñ
tū apne jaane se pahle mujhe batā kar jā
ye mere paas rahe to maiñ jī na pā.ūñgī
tū mere sāmne apne ye ḳhat jalā kar jā
maiñ tere baad kabhī DhūñDh hī na pā.ūñ tujhe
yuuñ apne aap ko mujh meñ kahīñ chhupā kar jā
hamāre biich kā ye fāsla mukammal ho
abhī talak kī sabhī qurbateñ miTā kar jā
bache-khuche ye charāġhoñ ko bhī bujhā de ab
ki merī shab ke añdheroñ ko tū baḌhā kar jā
maiñ tujh ko ḳhvāb meñ bhī ab kabhī nahīñ dekhūñ
tū jā rahā hai to nīñdeñ mirī uḌā kar jā
ye jitne shikwe gile hain inhen miTa kar ja
tu jaana chahta hai to gale laga kar ja
main bhul jaun tujhe ya main intizar karun
tu apne jaane se pahle mujhe bata kar ja
ye mere pas rahe to main ji na paungi
tu mere samne apne ye KHat jala kar ja
main tere baad kabhi DhunDh hi na paun tujhe
yun apne aap ko mujh mein kahin chhupa kar ja
hamare bich ka ye fasla mukammal ho
abhi talak ki sabhi qurbaten miTa kar ja
bache-khuche ye charaghon ko bhi bujha de ab
ki meri shab ke andheron ko tu baDha kar ja
main tujh ko KHwab mein bhi ab kabhi nahin dekhun
tu ja raha hai to ninden meri uDa kar ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.