ye jo shisha hai dil-numa mujh mein
ye jo shīsha hai dil-numā mujh meñ
TuuT jaatā hai bār-hā mujh meñ
maiñ tire hijr kī giraft meñ huuñ
ek sahrā hai mubtalā mujh meñ
man mahaktā hai kis kī ḳhushbū se
kaun rahtā hai phuul sā mujh meñ
kitne lamhāt kā thā ik lamha
zindagī bhar rukā rahā mujh meñ
us kī āñkhoñ ke band TuuT ga.e
aur sailāb aa gayā mujh meñ
jab bhī apnī talāsh ko niklūñ
lauT aatā hai rāsta mujh meñ
iḳhtilāfāt zehn-o-dil meñ the
ik tasādum sadā rahā mujh meñ
ye jo shisha hai dil-numa mujh mein
TuT jata hai bar-ha mujh mein
main tere hijr ki giraft mein hun
ek sahra hai mubtala mujh mein
man mahakta hai kis ki KHushbu se
kaun rahta hai phul sa mujh mein
kitne lamhat ka tha ek lamha
zindagi bhar ruka raha mujh mein
us ki aankhon ke band TuT gae
aur sailab aa gaya mujh mein
jab bhi apni talash ko niklun
lauT aata hai rasta mujh mein
iKHtilafat zehn-o-dil mein the
ek tasadum sada raha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.