ye kaisa khel hai ab us se baat bhi kar lun
ye kaisa khel hai ab us se baat bhi kar lun
Mushaf Iqbal Tausifi
MORE BYMushaf Iqbal Tausifi
ye kaisā khel hai ab us se baat bhī kar luuñ
kahe to jiit ko apnī maiñ maat bhī kar luuñ
ye iḳhtiyār mirā tujh ko jis tarah sochūñ
sahar ko yaad se aur dil se ghaat bhī kar luuñ
ye dukh bhī saath chalegā ki ab bichhaḌnā hai
agar safar meñ use apne saath bhī kar luuñ
kisī kā naam na luuñ aur ġhazal ke parde meñ
bayān us kī maiñ saarī sifāt bhī kar luuñ
tū merī zaat kā mehvar mirā madār bhī tū
ye musht-e-ḳhāk ise kā.enāt bhī kar luuñ
ye kaisa khel hai ab us se baat bhi kar lun
kahe to jit ko apni main mat bhi kar lun
ye iKHtiyar mera tujh ko jis tarah sochun
sahar ko yaad se aur dil se ghat bhi kar lun
ye dukh bhi sath chalega ki ab bichhaDna hai
agar safar mein use apne sath bhi kar lun
kisi ka nam na lun aur ghazal ke parde mein
bayan us ki main sari sifat bhi kar lun
tu meri zat ka mehwar mera madar bhi tu
ye musht-e-KHak ise kaenat bhi kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.