ye kaun mere alawa mere wajud mein hai
ye kaun mere alāva mire vajūd meñ hai
ki ek shor balā kā mire vajūd meñ hai
ye kis ne merī nazar ko banāyā ā.īna
ye nuur kis ne ujālā mire vajūd meñ hai
is ek fikr ne ghole mirī hayāt meñ ġham
tū duur kyuuñ nahīñ jaatā mire vajūd meñ hai
koī charāġh mirī samt bhī ravāna karo
bahut dinoñ se añdherā mire vajūd meñ hai
jo buuñd buuñd jalātī hai tan badan merā
vo āgahī kī tamannā mire vajūd meñ hai
maiñ ek mauj meñ huuñ jab se raushnī milī hai
ye lag rahā hai ki duniyā mire vajūd meñ hai
maiñ band aañkh se duniyā ko dekh saktā huuñ
ik aisī chashm-e-tamāshā mire vajūd meñ hai
ye kaun mere alawa mere wajud mein hai
ki ek shor bala ka mere wajud mein hai
ye kis ne meri nazar ko banaya aaina
ye nur kis ne ujala mere wajud mein hai
is ek fikr ne ghole meri hayat mein gham
tu dur kyun nahin jata mere wajud mein hai
koi charagh meri samt bhi rawana karo
bahut dinon se andhera mere wajud mein hai
jo bund bund jalati hai tan badan mera
wo aagahi ki tamanna mere wajud mein hai
main ek mauj mein hun jab se raushni mili hai
ye lag raha hai ki duniya mere wajud mein hai
main band aankh se duniya ko dekh sakta hun
ek aisi chashm-e-tamasha mere wajud mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.