ye KHamoshi mere kamre mein kis aawaz ki hai
ye ḳhāmoshī mire kamre meñ kis āvāz kī hai
kahīñ yuuñ to nahīñ tū baat karnā chāhtī hai
vo kyā shai hai jise maiñ DhūñDtā huuñ ḳhud se bāhar
yahīñ ghar meñ koī ik shai bhulā rakkhī huī hai
maiñ tanhā.ī ko apnā ham-safar kyā maan baiThā
mujhe lagtā hai mere saath duniyā chal rahī hai
kabhī dīvār lagtī hai mujhe ye saarī vus.at
kabhī dekhūñ isī dīvār meñ khiḌkī khulī hai
utarte jā rahe haiñ rañg dīvāroñ se saanī
ye parchhā.īñ sī kyā shai hai jo in par reñgtī hai
ye KHamoshi mere kamre mein kis aawaz ki hai
kahin yun to nahin tu baat karna chahti hai
wo kya shai hai jise main DhunDta hun KHud se bahar
yahin ghar mein koi ek shai bhula rakkhi hui hai
main tanhai ko apna ham-safar kya man baiTha
mujhe lagta hai mere sath duniya chal rahi hai
kabhi diwar lagti hai mujhe ye sari wusat
kabhi dekhun isi diwar mein khiDki khuli hai
utarte ja rahe hain rang diwaron se sani
ye parchhain si kya shai hai jo in par rengti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.