ye KHud-kushi to meri jaan ek bahana hai
ye ḳhud-kushī to mirī jaan ik bahāna hai
nadī se rābta merā bahut purānā hai
ye mere saath udāsī kā āḳhirī din hai
phir is ke ba.ad kahīñ aur āb-o-dāna hai
mirī zamīn pe phailā hai āsmān-e-adam
azal se mere zamāne pe ik zamāna hai
tumhārī maut pe rone kā dil bahut thā magar
jo peḌ suukh gayā hai use girānā hai
samundaroñ se kaho bādaloñ kī or chaleñ
hamārī aañkh meñ aañsū hai aur chhupānā hai
diyā jalāo ki ab shaam Dhalne vaalī hai
ḳhushī manāo ki apnā bhī ik Thikānā hai
ye KHud-kushi to meri jaan ek bahana hai
nadi se rabta mera bahut purana hai
ye mere sath udasi ka aaKHiri din hai
phir is ke baad kahin aur aab-o-dana hai
meri zamin pe phaila hai aasman-e-adam
azal se mere zamane pe ek zamana hai
tumhaari maut pe rone ka dil bahut tha magar
jo peD sukh gaya hai use girana hai
samundaron se kaho baadalon ki or chalen
hamari aankh mein aansu hai aur chhupana hai
diya jalao ki ab sham Dhalne wali hai
KHushi manao ki apna bhi ek Thikana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.