ye kya ki faqat apni hi taswir banao
ye kyā ki faqat apnī hī tasvīr banāo
ai naqsh-garo vus.at-e-fan kuchh to dikhāo
khultā nahīñ kyā lāla-o-gul soch rahe haiñ
kuchh tum hī kaho fasl-e-bahārāñ kī havāo
chhā jaa.e na ehsās pe zulmat shab-e-ġham kī
yaaro dil-e-sozāñ kī na qindīl bujhāo
har sub.h mire ḳhvāb se gul-gūna talab hai
har shaam ko zid hai ki mujhe ġhāza lagāo
rangīn hai dāmān-e-sahar kis ke lahū se
ḳhāmosh ho kyoñ dār-o-rasan kuchh to batāo
ye farsh-nashīñ arsh-nashīñ to nahīñ 'shiblī'
sar dil kī bulandī hai na qadmoñ pe jhukāo
ye kya ki faqat apni hi taswir banao
ai naqsh-garo wusat-e-fan kuchh to dikhao
khulta nahin kya lala-o-gul soch rahe hain
kuchh tum hi kaho fasl-e-bahaaran ki hawao
chha jae na ehsas pe zulmat shab-e-gham ki
yaro dil-e-sozan ki na qindil bujhao
har subh mere KHwab se gul-guna talab hai
har sham ko zid hai ki mujhe ghaza lagao
rangin hai daman-e-sahar kis ke lahu se
KHamosh ho kyon dar-o-rasan kuchh to batao
ye farsh-nashin arsh-nashin to nahin 'shibli'
sar dil ki bulandi hai na qadmon pe jhukao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.