ye lafz lafz shoala-bayani usi ki hai
ye lafz lafz sho.ala-bayānī usī kī hai
himmat hai aur kis meñ kahānī usī kī hai
takmīl ho rahī hai bichhaḌne ke bāvajūd
baaqī kī zindagī bhī kahānī usī kī hai
rut aa ga.ī na.ī to use dekh kar lagā
shāyad ye koī yaad purānī usī kī hai
manzar meñ aur kyā hai ye dekhā nahīñ abhī
lekin ye hai jo oḌhnī dhānī usī kī hai
maiñ to bahut dinoñ se ye kahtā thā aaj to
sab ne kahā ye shaam suhānī usī kī hai
ik sañg hai ki jiine kā jis ko milā hai hukm
is dil kī dhaḌkanoñ meñ ravānī usī kī hai
ḳhat ho koī kitāb ho yā dil kā zaḳhm ho
jo bhī hai mere paas nishānī usī kī hai
ye lafz lafz shoala-bayani usi ki hai
himmat hai aur kis mein kahani usi ki hai
takmil ho rahi hai bichhaDne ke bawajud
baqi ki zindagi bhi kahani usi ki hai
rut aa gai nai to use dekh kar laga
shayad ye koi yaad purani usi ki hai
manzar mein aur kya hai ye dekha nahin abhi
lekin ye hai jo oDhni dhani usi ki hai
main to bahut dinon se ye kahta tha aaj to
sab ne kaha ye sham suhani usi ki hai
ek sang hai ki jine ka jis ko mila hai hukm
is dil ki dhaDkanon mein rawani usi ki hai
KHat ho koi kitab ho ya dil ka zaKHm ho
jo bhi hai mere pas nishani usi ki hai
- Book : Muhaz Par mein (Poetry) (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.