ye mat kaho ki bhiD mein tanha khaDa hun main
ye mat kaho ki bhiiḌ meñ tanhā khaḌā huuñ maiñ
Takrā ke ābgīne se patthar huā huuñ maiñ
āñkhoñ ke jañgaloñ meñ mujhe mat karo talāsh
dāman pe āñsuoñ kī tarah aa gayā huuñ maiñ
yuuñ be-ruḳhī ke saath na muñh pher ke guzar
ai sāhab-e-jamāl tirā aa.inā huuñ maiñ
yuuñ baar baar mujh ko sadā.eñ na dījiye
ab vo nahīñ rahā huuñ koī dūsrā huuñ maiñ
merī burā.iyoñ pe kisī kī nazar nahīñ
sab ye samajh rahe haiñ baḌā pārsā huuñ maiñ
vo bevafā samajhtā hai mujh ko use kaho
āñkhoñ meñ us ke ḳhvāb liye phir rahā huuñ maiñ
ye mat kaho ki bhiD mein tanha khaDa hun main
Takra ke aabgine se patthar hua hun main
aankhon ke jangalon mein mujhe mat karo talash
daman pe aansuon ki tarah aa gaya hun main
yun be-ruKHi ke sath na munh pher ke guzar
ai sahab-e-jamal tera aaina hun main
yun bar bar mujh ko sadaen na dijiye
ab wo nahin raha hun koi dusra hun main
meri buraiyon pe kisi ki nazar nahin
sab ye samajh rahe hain baDa parsa hun main
wo bewafa samajhta hai mujh ko use kaho
aankhon mein us ke KHwab liye phir raha hun main
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 41)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.