Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nahr-e-ab bhi uski hai mulk-e-sham us ka

Afzal Ahmad Syed

ye nahr-e-ab bhi uski hai mulk-e-sham us ka

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    ye nahr-e-āb bhī us hai mulk-e-shām us

    jo hashr mujh pe bapā hai vo ehtimām us

    sipāh-e-tāza bhī us saf-e-nigāh se hai

    safā-e-sīna-e-shmshīr par hai naam us

    amaan ḳhema-e-ram-ḳhurdgāñ meñ baaqī hai

    ki nā-tamām hai ik shauq-e-qatl-e-ām us

    kitāb-e-umr se sab harf uḌ ga.e mere

    ki mujh asiir ko honā hai ham-kalām us

    dil-e-shikasta ko laanā hai rū-ba-rū us ke

    jo mujh se narm huā koī band daam us

    maiñ us ke haath se kis zaḳhm meñ kamī rakkhūñ

    shurū-e-nāz bhī us hai iḳhtitām us

    ye nahr-e-ab bhi us ki hai mulk-e-sham us ka

    jo hashr mujh pe bapa hai wo ehtimam us ka

    sipah-e-taza bhi us ki saf-e-nigah se hai

    safa-e-sina-e-shmshir par hai nam us ka

    aman KHema-e-ram-KHurdgan mein baqi hai

    ki na-tamam hai ek shauq-e-qatl-e-am us ka

    kitab-e-umr se sab harf uD gae mere

    ki mujh asir ko hona hai ham-kalam us ka

    dil-e-shikasta ko lana hai ru-ba-ru us ke

    jo mujh se narm hua koi band dam us ka

    main us ke hath se kis zaKHm mein kami rakkhun

    shuru-e-naz bhi us ka hai iKHtitam us ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now