ye shafaq chand sitare nahin achchhe lagte
ye shafaq chāñd sitāre nahīñ achchhe lagte
tum nahīñ ho to nazāre nahīñ achchhe lagte
gahre paanī meñ zarā aao utar kar dekheñ
ham ko dariyā ke kināre nahīñ achchhe lagte
roz aḳhbār kī jaltī huī surḳhī paḌh kar
shahr ke log tumhāre nahīñ achchhe lagte
dard meñ Duubī fazā aaj bahut hai shāyad
ġham-zada raat hai taare nahīñ achchhe lagte
merī tanhā.ī se kah do ki sahārā chhoḌe
zindagī bhar ye sahāre nahīñ achchhe lagte
ye shafaq chand sitare nahin achchhe lagte
tum nahin ho to nazare nahin achchhe lagte
gahre pani mein zara aao utar kar dekhen
hum ko dariya ke kinare nahin achchhe lagte
roz aKHbar ki jalti hui surKHi paDh kar
shahr ke log tumhaare nahin achchhe lagte
dard mein Dubi faza aaj bahut hai shayad
gham-zada raat hai tare nahin achchhe lagte
meri tanhai se kah do ki sahaara chhoDe
zindagi bhar ye sahaare nahin achchhe lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.