ye tanha raat ye gahri fazaen
ye tanhā raat ye gahrī fazā.eñ
use DhūñDeñ ki us ko bhuul jaa.eñ
ḳhayāloñ kī ghanī ḳhāmoshiyoñ meñ
ghulī jaatī haiñ lafzoñ kī sadā.eñ
ye raste rahravoñ se bhāgte haiñ
yahāñ chhup chhup ke chaltī haiñ havā.eñ
ye paanī ḳhāmushī se bah rahā hai
ise dekheñ ki is meñ Duub jaa.eñ
jo ġham jalte haiñ sheroñ kī chitā meñ
unheñ phir apne siine se lagā.eñ
chalo aisā makāñ ābād kar leñ
jahāñ logoñ kī āvāzeñ na aa.eñ
ye tanha raat ye gahri fazaen
use DhunDen ki us ko bhul jaen
KHayalon ki ghani KHamoshiyon mein
ghuli jati hain lafzon ki sadaen
ye raste rahrawon se bhagte hain
yahan chhup chhup ke chalti hain hawaen
ye pani KHamushi se bah raha hai
ise dekhen ki is mein Dub jaen
jo gham jalte hain sheron ki chita mein
unhen phir apne sine se lagaen
chalo aisa makan aabaad kar len
jahan logon ki aawazen na aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.