Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka

Hilal Fareed

ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka

Hilal Fareed

MORE BYHilal Fareed

    ye visāl o hijr mas.ala to mirī samajh meñ na aa sakā

    kabhī koī mujh ko na sakā kabhī maiñ kisī ko na sakā

    ka.ī bastiyoñ ko ulaT chukā koī taab is na sakā

    magar āñdhiyoñ ye silsila tirā naqsh-e-pā na miTā sakā

    mirī dāstāñ bhī ajiib hai vo qadam qadam mire saath thā

    jise rāz-e-dil na batā sakā jise dāġh-e-dil na dikhā sakā

    na bijliyāñ na bārisheñ na dushmanoñ vo sāzisheñ

    bhalā kyā sabab hai batā zarā jo aaj bhī nahīñ aa sakā

    kabhī raushnī talab rahī kabhī hausloñ kamī rahī

    maiñ charāġh ko tire naam ke na jalā sakā na bujhā sakā

    vo jo aks rañg-e-'hilāl' thī vo jo aap apnī misāl thī

    mujhe aaj tak hai ḳhalish yahī tujhe vo ġhazal na sunā sakā

    ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka

    kabhi koi mujh ko na pa saka kabhi main kisi ko na pa saka

    kai bastiyon ko ulaT chuka koi tab is ki na la saka

    magar aandhiyon ka ye silsila tera naqsh-e-pa na miTa saka

    meri dastan bhi ajib hai wo qadam qadam mere sath tha

    jise raaz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka

    na hi bijliyan na hi barishen na hi dushmanon ki wo sazishen

    bhala kya sabab hai bata zara jo tu aaj bhi nahin aa saka

    kabhi raushni ki talab rahi kabhi hauslon ki kami rahi

    main charagh ko tere nam ke na jala saka na bujha saka

    wo jo aks rang-e-'hilal' thi wo jo aap apni misal thi

    mujhe aaj tak hai KHalish yahi tujhe wo ghazal na suna saka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now