aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zamin KHwab hai aasman KHwab hai

Farhat Shahzad

ye zamin KHwab hai aasman KHwab hai

Farhat Shahzad

MORE BYFarhat Shahzad

    ye zamīñ ḳhvāb hai āsmāñ ḳhvāb hai

    ik makāñ nahīñ lā-makāñ ḳhvāb hai

    jān-levā sahī justujū thakan

    par sahārā diye ik javāñ ḳhvāb hai

    us āñkhoñ meñ apnā.iyat chamak

    merī āñkhoñ ik be-amāñ ḳhvāb hai

    TuuT jaa.e to kuchh bhī nahīñ koī bhī

    jis ke dam se haiñ donoñ jahāñ ḳhvāb hai

    chilchilātī huī vaqt dhuup meñ

    saath ik sāya-e-mehrbāñ ḳhvāb hai

    sarāb-e-hasīñ maiñ fareb-e-nazar

    pyaar terā mirī jān-e-jāñ ḳhvāb hai

    shādī-e-be-panah sabab hai magar

    vaj.h-e-āh-o-fuġhāñ bhī miyāñ ḳhvāb hai

    zindagī ke kaThin jañgaloñ meñ mirā

    har qadam rāhbar pāsbāñ ḳhvāb hai

    jān-e-'shahzād' tanhā.iyāñ haiñ aTal

    aur baaqī ye kārvāñ ḳhvāb hai

    ye zamin KHwab hai aasman KHwab hai

    ek makan hi nahin la-makan KHwab hai

    jaan-lewa sahi justuju ki thakan

    par sahaara diye ek jawan KHwab hai

    us ki aankhon mein apnaiyat ki chamak

    meri aankhon ka ek be-aman KHwab hai

    TuT jae to kuchh bhi nahin koi bhi

    jis ke dam se hain donon jahan KHwab hai

    chilchilati hui waqt ki dhup mein

    sath ek saya-e-mehrban KHwab hai

    tu sarab-e-hasin main fareb-e-nazar

    pyar tera meri jaan-e-jaan KHwab hai

    shadi-e-be-panah ka sabab hai magar

    wajh-e-ah-o-fughan bhi miyan KHwab hai

    zindagi ke kaThin jangalon mein mera

    har qadam rahbar pasban KHwab hai

    jaan-e-'shahzad' tanhaiyan hain aTal

    aur baqi ka ye karwan KHwab hai

    Source:

    urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 125)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now