yun bhala tum par saja kab aaine mein dekhna
yuuñ bhalā tum par sajā kab aa.ine meñ dekhnā
raat āñkhoñ meñ kaTe tab aa.ine meñ dekhnā
kaise kaise manzaroñ ke 'aks haiñ in meñ nihāñ
apnī āñkheñ sochnā jab aa.ine meñ dekhnā
kaise kaise rañg haiñ tanhā.ī kī tasvīr meñ
jab kabhī fursat mile tab aa.ine meñ dekhnā
tum kabhī patthar kī mūrat the magar ab phuul ho
apnī tabdīlī kā matlab aa.ine meñ dekhnā
sāmne ke manzaroñ se haT chukā gard-o-ġhubār
kis kā kaisā 'aks hai ab aa.ine meñ dekhnā
ḳhud-parastī kī tahoñ meñ ek be-chehra vajūd
khul gayā 'salmān' kal shab aa.ine meñ dekhnā
yun bhala tum par saja kab aaine mein dekhna
raat aankhon mein kaTe tab aaine mein dekhna
kaise kaise manzaron ke 'aks hain in mein nihan
apni aankhen sochna jab aaine mein dekhna
kaise kaise rang hain tanhai ki taswir mein
jab kabhi fursat mile tab aaine mein dekhna
tum kabhi patthar ki murat the magar ab phul ho
apni tabdili ka matlab aaine mein dekhna
samne ke manzaron se haT chuka gard-o-ghubar
kis ka kaisa 'aks hai ab aaine mein dekhna
KHud-parasti ki tahon mein ek be-chehra wajud
khul gaya 'salman' kal shab aaine mein dekhna
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 113)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.