yun dard ki shiddat se pukari meri aankhen
yuuñ dard kī shiddat se pukārī mirī āñkheñ
ḳhvāboñ ke bikhar jaane se haarī mirī āñkheñ
palkoñ pe ġham-e-hijr ke sab diip jalā.e
nīñdoñ ke shabistān meñ bhārī mirī āñkheñ
tanhā.ī meñ ik ḳhvāb kī lau phuuT rahī hai
bujh saktī nahīñ rañj kī maarī mirī āñkheñ
tum jab se mire aañkh ke hujre meñ makīñ ho
pur-nūr huī aur bhī pyārī mirī āñkheñ
ye kis kī ziyārat se chhalaktā hai ujālā
is surma-e-manzar ne nikhārī mirī āñkheñ
sapnoñ ke hasīñ taḳht pe haiñ roz-e-azal se
baiThī haiñ banī rāj-kumārī mirī āñkheñ
ye rasm shab-e-ġham se hī ījād huī hai
ashkoñ ke sitāroñ se sañvārī mirī āñkheñ
yun dard ki shiddat se pukari meri aankhen
KHwabon ke bikhar jaane se haari meri aankhen
palkon pe gham-e-hijr ke sab dip jalae
nindon ke shabistan mein bhaari meri aankhen
tanhai mein ek KHwab ki lau phuT rahi hai
bujh sakti nahin ranj ki mari meri aankhen
tum jab se mere aankh ke hujre mein makin ho
pur-nur hui aur bhi pyari meri aankhen
ye kis ki ziyarat se chhalakta hai ujala
is surma-e-manzar ne nikhaari meri aankhen
sapnon ke hasin taKHt pe hain roz-e-azal se
baiThi hain bani raj-kumari meri aankhen
ye rasm shab-e-gham se hi ijad hui hai
ashkon ke sitaron se sanwari meri aankhen
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.