yun zindagi guzar rahi hai meri
yuuñ zindagī guzar rahī hai merī
jo un kī hai vahī ḳhushī hai merī
dekhe the farsh-e-gul ke ḳhvāb lekin
sho.aloñ se rah-guzar sajī hai merī
maiñ lamha lamha jaatā rahā huuñ
āñkhoñ se niiñd uḌ ga.ī hai merī
yāroñ meñ mil sakā na koī tujh sā
kahne ko sab se dostī hai merī
āñkhoñ meñ jhāñk kar na dekhā tum ne
logoñ se dāstāñ sunī hai merī
ghere haiñ an-ginat hasīn yādeñ
tanhā.ī mujh se chhīn lī hai merī
yun zindagi guzar rahi hai meri
jo un ki hai wahi KHushi hai meri
dekhe the farsh-e-gul ke KHwab lekin
shoalon se rah-guzar saji hai meri
main lamha lamha jata raha hun
aankhon se nind uD gai hai meri
yaron mein mil saka na koi tujh sa
kahne ko sab se dosti hai meri
aankhon mein jhank kar na dekha tum ne
logon se dastan suni hai meri
ghere hain an-ginat hasin yaaden
tanhai mujh se chhin li hai meri
- Book : Sahar Numa (Pg. 46)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.