yunhi nahin hum bolte jate ye apni majburi hai
yūñhī nahīñ ham bolte jaate ye apnī majbūrī hai
jūñhī kuchh kah chukte haiñ lagtā hai baat adhūrī hai
sab apnī afvāh bane haiñ asl meñ kyā the bhuul ga.e
jiine kī jo sūrat hai so ye bhī aaj zarūrī hai
duniyā merī zindagī ke din kam kartī jaatī hai kyuuñ
ḳhuun pasīna ek kiyā hai ye merī mazdūrī hai
apne baad hī duniyā meñ Thahrāo jo aa.e to aa.e
jab tak ham zinda haiñ tab tak har ik daur ubūrī hai
DhūñD rahe haiñ kis ko log shikārī jaisī nazroñ se
saf-dar-saf maujūd huuñ maiñ to har ik saf to puurī hai
sab ik dūsre ko nazroñ se bas ye dilāsa dete haiñ
haiñ to ham sab paas hī bas andar kī ye ik duurī hai
itnī saarī āvāzoñ meñ shāyad sunñe vaale ko
bas itnā hī yaad rahegā merī baat zarūrī hai
koī bahānā mil jaa.e to haath nahīñ ham aane ke
der ye hai chal dene meñ tayyārī to puurī hai
'talḳh' hamāre hosh ke aalam kā hai rañg-e-suḳhan kuchh aur
jis par vajd meñ hai ik duniyā vo to ġhair-shu.ūrī hai
yunhi nahin hum bolte jate ye apni majburi hai
junhi kuchh kah chukte hain lagta hai baat adhuri hai
sab apni afwah bane hain asl mein kya the bhul gae
jine ki jo surat hai so ye bhi aaj zaruri hai
duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun
KHun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai
apne baad hi duniya mein Thahrao jo aae to aae
jab tak hum zinda hain tab tak har ek daur uburi hai
DhunD rahe hain kis ko log shikari jaisi nazron se
saf-dar-saf maujud hun main to har ek saf to puri hai
sab ek dusre ko nazron se bas ye dilasa dete hain
hain to hum sab pas hi bas andar ki ye ek duri hai
itni sari aawazon mein shayad sunne wale ko
bas itna hi yaad rahega meri baat zaruri hai
koi bahana mil jae to hath nahin hum aane ke
der ye hai chal dene mein tayyari to puri hai
'talKH' hamare hosh ke aalam ka hai rang-e-suKHan kuchh aur
jis par wajd mein hai ek duniya wo to ghair-shuuri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.