zahid ke dil mein but hai musalman nahin raha
zahid ke dil mein but hai musalman nahin raha
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
zāhid ke dil meñ but hai musalmāñ nahīñ rahā
ye barhaman hai sāhab-e-īmāñ nahīñ rahā
malte haiñ haath yaas se dast-e-junūñ mire
afsos koī tār-e-garebāñ nahīñ rahā
sad-shukr apne saath dil us ko bhī le gayā
jo chheḌtā thā ham ko vo armāñ nahīñ rahā
tasvīr-e-yār mujh ko tasavvur banā chukā
par shukr hai ḳhudā kā pareshāñ nahīñ rahā
pahuñchā diyā sabā ne use kū-e-yār meñ
apnā ġhubār be-sar-o-sāmāñ nahīñ rahā
lab-basta daf.atan jo huā zaḳhm-e-dil mirā
dilbar ke ḳhvān kā vo namak-dāñ nahīñ rahā
insāniyat hai jis meñ dilā hai vo aadmī
haivāniyat hai jis meñ vo insāñ nahīñ rahā
ifshā ye rāz-e-'ishq huā merī aah se
jis ko chhupā rahe the vo pinhāñ nahīñ rahā
'āshiq kī turbatoñ ko miTā kar ye kah diyā
lo ab nishān-e-gor-e-ġharībāñ nahīñ rahā
apnī sadā sunā ke har ik yaañ se chal basā
gulshan meñ koī murġh-e-ḳhush-ilhāñ nahīñ rahā
jo qaidī-e-mehan the 'jamīla' vo chal base
zindāñ meñ koī sāhab-e-zindāñ nahīñ rahā
zahid ke dil mein but hai musalman nahin raha
ye barhaman hai sahab-e-iman nahin raha
malte hain hath yas se dast-e-junun mere
afsos koi tar-e-gareban nahin raha
sad-shukr apne sath dil us ko bhi le gaya
jo chheDta tha hum ko wo arman nahin raha
taswir-e-yar mujh ko tasawwur bana chuka
par shukr hai KHuda ka pareshan nahin raha
pahuncha diya saba ne use ku-e-yar mein
apna ghubar be-sar-o-saman nahin raha
lab-basta dafatan jo hua zaKHm-e-dil mera
dilbar ke KHwan ka wo namak-dan nahin raha
insaniyat hai jis mein dila hai wo aadmi
haiwaniyat hai jis mein wo insan nahin raha
ifsha ye raaz-e-'ishq hua meri aah se
jis ko chhupa rahe the wo pinhan nahin raha
'ashiq ki turbaton ko miTa kar ye kah diya
lo ab nishan-e-gor-e-ghariban nahin raha
apni sada suna ke har ek yan se chal basa
gulshan mein koi murgh-e-KHush-ilhan nahin raha
jo qaidi-e-mehan the 'jamila' wo chal base
zindan mein koi sahab-e-zindan nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.