zahiran maut hai qaza hai ishq
zāhiran maut hai qazā hai ishq
par haqīqat meñ jāñ-fazā hai ishq
detā hai laakh tarah se taskīn
maraz-e-hijr meñ davā hai ishq
tā-dam-e-marg saath detā hai
ek mahbūb-e-bā-vafā hai ishq
dekh 'nassāḳh' gar na hotā kufr
kahte be-shubah ham ḳhudā hai ishq
zahiran maut hai qaza hai ishq
par haqiqat mein jaan-faza hai ishq
deta hai lakh tarah se taskin
maraz-e-hijr mein dawa hai ishq
ta-dam-e-marg sath deta hai
ek mahbub-e-ba-wafa hai ishq
dekh 'nassaKH' gar na hota kufr
kahte be-shubah hum KHuda hai ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.