zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila
zabāñ par aah rahī lab se lab kabhū na milā
tirī talab to milī kyā huā jo tū na milā
badal ke ruup milā vaz.a-e-āmiyāna meñ
libās-e-ḳhās pahan kar vo ḳhūb-rū na milā
vo aarzū se milā jab kuchh aarzū na rahī
na jab talak ga.ī milne kī aarzū na milā
piyāla rū-ba-rū aa.e to ashk-e-ḳhūñ na bahā
sharāb-e-nāb meñ ai chashm-tar lahū na milā
sunā de sāqi-e-daurāñ ko nālā-hā-e-'mazāq'
sipihr-e-ḳhāk meñ mastoñ kī hāv-hū na milā
zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila
teri talab to mili kya hua jo tu na mila
badal ke rup mila waza-e-amiyana mein
libas-e-KHas pahan kar wo KHub-ru na mila
wo aarzu se mila jab kuchh aarzu na rahi
na jab talak gai milne ki aarzu na mila
piyala ru-ba-ru aae to ashk-e-KHun na baha
sharab-e-nab mein ai chashm-tar lahu na mila
suna de saqi-e-dauran ko nala-ha-e-'mazaq'
sipihr-e-KHak mein maston ki haw-hu na mila
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 221)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.