zaKHm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya
zaKHm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
MORE BYAshhad Bilal Ibn-e-chaman
zaḳhm-e-furqat ko tirī yaad ne bharne na diyā
ġham-e-tanhā.ī magar ruḳh pe ubharne na diyā
aaj bhī naqsh haiñ dil par tirī aahaT ke nishāñ
ham ne us raah se auroñ ko guzarne na diyā
tū ne jis roz se chhoḌā ise ḳhālī rakkhā
maiñ ne ḳhushiyoñ ko bhī is dil meñ Thaharne na diyā
rabt jo tujh se banāyā so banā.e rakkhā
tū hī kyā terā tasavvur bhī bikharne na diyā
zabt itnā ki charāġhoñ se hue mahv-e-kalām
yaad itnī ki tujhe dil se utarne na diyā
aa.ine toḌ diye jo bhī nazar se guzre
kisī mah-rū ko tire ba.ad sañvarne na diyā
zaKHm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya
gham-e-tanhai magar ruKH pe ubharne na diya
aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan
hum ne us rah se auron ko guzarne na diya
tu ne jis roz se chhoDa ise KHali rakkha
main ne KHushiyon ko bhi is dil mein Thaharne na diya
rabt jo tujh se banaya so banae rakkha
tu hi kya tera tasawwur bhi bikharne na diya
zabt itna ki charaghon se hue mahw-e-kalam
yaad itni ki tujhe dil se utarne na diya
aaine toD diye jo bhi nazar se guzre
kisi mah-ru ko tere baad sanwarne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.